qadam qadam ka ilaqa hai na-rawa tak hai fusun-e-jaur-o-jafa pesha ja-ba-ja tak hai gar ek bar ka hona alam ghanimat tha sitam to ye hai ki dar-pesh bar-ha tak hai diye ki lau se nahin wasta kisi ka koi agar kisi ka koi hai to phir hawa tak hai amal hai khud pe amal-dar ta dam-e-mauquf aur is ka radd-e-amal apne iltawa tak hai sada-e-shor-o-shaghab hai idhar samaat tak shunid gird o jawanib idhar sada tak hai magar ye kaun batae safar-e-nawardon ko ki had dasht-e-junun un ke iktifa tak hai ai be-qarari-e-dil mujh ko ye khabar hi na thi ki jo qarar ki sarhad hai ittiqa tak hai khuda se baad mein rakkhe hue hai duniya ko wo fasla jo hatheli se ek dua tak hai kahin pare ki hai hajat-rawai se meri mera sawal zarurat se mawara tak hai hai tu hi aankh meri ai jamal-e-pesh-e-nazar so ye tamasha mera ek teri raza tak hai nahin hai koi bhi hatmi yahan had-e-malum har ek intiha ek aur intiha tak hai