dil ke shajar ko khun se gulnar dekh kar khush hun nai bahaar ke aasar dekh kar sahra bhale ki zehan ko kuchh to sukun mile ghabra gaya hun shahar ke bazar dekh kar aage badhe to tirgi-e-shab ne aa liya nikle the ghar se subh ke aasar dekh kar aansu gire to dil ki zamin aur jal uthi barsa hai abr khak ka mear dekh kar sare jahan ko halqa-e-matam samajh liya apna wajud nuqta-e-pur-kar dekh kar auron ko tu ne daulat-e-kaunain bant di gham mujh ko de diya hai saza-war dekh kar baithe to aanch dene lagi pipalon ki chhanw aae the log saya-e-ashjar dekh kar jis tarah koi bachhda hua dost mil gaya hum muskura diye rasan-o-dar dekh kar baitha hun apne fikr ke sae mein der se har aashna ko un ka taraf-dar dekh kar 'zulfi' dukhon ki dhup mein jalte hue badan baadal guzar gaya hai kai bar dekh kar