qadam qadam par tumhaari yun to inayaten bhi bahut hui hain mujhe meri be-niyaziyon par nadamaten bhi bahut hui hain ye mat samajhna ki aansuon hi se bhig jati hain us ki palken ki barha chashm-e-nam se us ki karamaten bhi bahut hui hain ajab tamasha hai zulm sah kar bhi sare mazlum mutmain hain unhin ki jaanib se qatilon ki zamanaten bhi bahut hui hain mohabbaton mein khamoshiyan hi jawab hoti hain mo'tariz ka agarche kuchh be-irada mujh se wazahaten bhi bahut hui hain hui hai izhaar-e-arzu mein khata-e-takhir is liye bhi rah-e-tamanna ujalne mein tawalten bhi bahut hui hain 'shahab' sahil se bandh rakkho abhi purani wo naw apni ki jas pe tufani naddiyon mein masafaten bhi bahut hui hain