charagh-e-rah bujha kya ki rahnuma bhi gaya hawa ke sath musafir ka naqsh-e-pa bhi gaya main phul chunti rahi aur mujhe khabar na hui wo shakhs aa ke mere shahr se chala bhi gaya bahut aziz sahi us ko meri dildari magar ye hai ki kabhi dil mera dukha bhi gaya ab un darichon pe gahre dabiz parde hain wo tank-jhank ka masum silsila bhi gaya sab aae meri ayaadat ko wo bhi aaya tha jo sab gae to mera dard-ashna bhi gaya ye ghurbaten meri aankhon mein kaisi utri hain ki khwab bhi mere rukhsat hain ratjaga bhi gaya