qadam qadam pe charagh-e-ada jalate hue

qadam qadam pe charagh-e-ada jalate hue
abhi abhi koi guzra hai muskuraate hue

ana-parast hain tah-dariyon mein jite hain
yahan to rona bhi padta hai muskuraate hue

phir ehtimam karen hum nae charaghon ka
hawa guzar gai sare diye bujhate hue

shab-e-siyah ki wusat se ho ke be-parwa
wo badh raha hai diye se diya jalate hue

kahin wajud na kho baithe ye samundar bhi
tumhaari aatish-e-tishna-labi bujhate hue

bikhar na jae badan bhi misal-e-reg-e-rawan
guzar raha hai hawa ke thapede khate hue

use tum aankh mein apni chhupa ke rakh lena
kahin mile wo agar tum ko aate-jate hue

usi pe aa gaya ilzam-e-na-shanasai
jo zakhm zakhm hua khandan bachate hue

kisi ke dast-e-hunar ke siwa nahin kuchh bhi
sanbhal gaya hun jo ai 'nur' dagmagate hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close