qasida zulfon ka jis jagah par chhida hua hai wahan pe khushbu ka shamiyana laga hua hai daricha-e-shab se jhankta hai ye chand kis ko ye kaun baam-e-jamal par runuma hua hai na jaane us ka charagh hai kyon bujha bujha sa na jaane us ke shikoh-e-nakhwat ko kya hua hai koi talluq koi to rishta zarur hoga ye aasman jo zamin ki jaanib jhuka hua hai bata rahi hai khiram-e-baad-e-saba ki masti gulab shakh-e-ada pe koi khila hua hai use murawwat ke khal-o-khad kya dikhai denge ghubar-e-nafrat se shisha-e-dil ata hua hai agarche sab khidkiyan hain barson se band lekin makan mera makan se us ke mila hua hai khayal jin ka na ho ke guzra kisi ke dil se hamara un saaton se bhi samna hua hai bahaaren aa aa ke 'nur' honton ko chumti hain miyan-e-sahra ye kaun naghma-sara hua hai