qadam qadam pe hain kuchh khar rahguzar ke liye khusha-nasib suhulat to hai safar ke liye tajalliyon ki tamanna to aam hai lekin shuur-e-did bhi lazim hai kuchh nazar ke liye sar-e-niyaz jhukana to sab ko aata hai jabin-e-dil ki zarurat hai sang-e-dar ke liye jo sath rah ke bhi tanhai mein na hail ho wafa tarasti rahi aise ham-safar ke liye ye kaenat tilismat-e-hast-o-bud sahi wajud rakhta hai har zarra dida-war ke liye sahar hui to dar-o-baam ajnabi thahre lade the hum kai raaton se jis sahar ke liye jabin jhuke to uthe naqsh-e-astan le kar ek aisa sajda hi kafi hai umr bhar ke liye 'zamir' dard ko kyon mere dil ki yaad aai raha na jab koi daman bhi chashm-e-tar ke liye