rahi koi nahin hai koi rahnuma nahin jis rah par chala hun kahin naqsh-e-pa nahin sajde mere zaman-o-makan se hain be-niyaz kaba se but-kade se koi rabta nahin dil hai kahin khayal kahin hai nazar kahin ai shaikh tera ek bhi sajda rawa nahin be-kaif si hai raat to be-lutf sa hai din sach to ye hai ki jine mein kuchh bhi maza nahin sham-o-sahar bahaar-o-khizan ranj-o-imbisat koi bhi inqalab ki zad se bacha nahin tanqid kar rahe hain wo ashaar par 'zamir' sher-o-sukhan se jin ko koi wasta nahin