qadam qadam pe jo apna nishan banate hain zamin pe chalte hain aur kahkashan banate hain har ek lamha wo tufan par nazar rakkhen kanar-e-bahr jo apna makan banate hain buri nazar na koi sarhadon se par uthe hum ab watan ke liye pasban banate hain na bu-e-gul na ana ki ramaq mili un mein jo wahshaton ka sada aashiyan banate hain hamare baad ki naslen banengi kya 'manzar' zamin ko baaton mein hum aashiyan banate hain