kisi surat to dil ko shad karna hamein dushman samajh kar yaad karna duaen denge chhut kar qaidi-e-zulf jahan tak ho sake aazad karna kahin wo aafrin aisa pade hath na mujh par rahm o jallad karna masihai dikhana baad-e-murdan jo dil chahe to kuchh irshad karna uda do khak meri thokaron se agar manzur hai barbaad karna adab sikhe nahin hun nau-giraftar bata kar qaede bedad karna maza tha bebasi ki galiyon mein isi bhule sabaq ko yaad karna bahut mushkil hai in sangin-dilon se khayal-e-khatir-e-nashad karna janaza uth chuke mera to tum bhi ada rasm-e-mubarak-baad karna 'nasim'-e-khasta-dil ne jaan de di ghazab laya tera bedad karna