qadam qadam pe lahu ka nishan rakhta hai wo lauh-e-dil pe hasin dastan rakhta hai daboch leta hai alfaz aur maani ko nazar uqabi hai unchi udan rakhta hai tarashta hai khayalon mein nit-nae paikar wo apni fikr-e-rasa ko jawan rakhta hai saubaton ke safine mein zinda rah kar bhi wo zehn-o-dil ka khula baadban rakhta hai sametta raha apne hi khun ki bunden jo apne hath mein tuti kaman rakhta hai jhapatta hai khule jangal mein saiqa ban kar shikar bhi kahin uncha machan rakhta hai ye us ki zat ki pahchan ban gai hai 'rais' bhare dayar mein ujda makan rakhta hai