qadam-qadam pe Thaharte the Dar hi aisa tha

qadam-qadam pe thaharte the dar hi aisa tha
na tai hua kabhi hum se safar hi aisa tha

muhib sae se aate rahe nazar har-su
ye zikr-e-dasht nahin apna ghar hi aisa tha

na ras aae hain aish-o-nishat ke lamhe
nizam-e-dahr ka hum par asar hi aisa tha

koi bhi aib phatakne na paya pas apne
hamare pas tilism-e-hunar hi aisa tha

hamein ye shauq ki tufan ki mauj se khelen
magar kinare pe laya bhanwar hi aisa tha

yahin se aati thin har shab ajib aawazen
shahr se dur purana khandar hi aisa tha

andheri wadiyan bhi hum ko jagmagati lagin
hamare pas charagh-e-nazar hi aisa tha

har ek shakhs yahan tha mukhauta pahne hue
tamam nagron mein apna nagar hi aisa tha

bahaar aur khizan ek se hain us ke liye
hamare bagh ka tanha shajar hi aisa tha

na kham hua kisi jabir ke ru-ba-ru 'gauhar'
sada buland raha apna sar hi aisa tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close