qadam qadam pe wafa ka dayar rah mein hai khusha ki naqsh-e-kaf-e-pa-e-yar rah mein hai har ek mauj mein saz-e-fareb hai jis ki wo ek sarab ba-har-e'tibar rah mein hai ye ud rahi hai jo khun-rang khak har jaanib kisi shahid-e-junun ka mazar rah mein hai na koi baat na maqsad na aarzu na sawal bas ek ghalghala-e-gir-o-dar rah mein hai sukun-e-shab hama naghma faza-e-shab hama nur magar abhi koi shab-zinda-dar rah mein hai pahunch chuke hain idhar ham-safar sar-e-manzil udhar abhi khalish-e-intizar rah mein hai qadam qadam pe gareban qadam qadam pe lahu yahi to ek subut-e-bahaar rah mein hai teri talab ke taqaze tere husul ke khwab teri talash bahar-e'tibar rah mein hai