qadam uthe hain to dhul aasman tak jae chale chalo ki jahan tak bhi ye sadak jae nazar uthao ki ab tirgi ke chehre par ajab nahin ki koi raushni lapak jae gudaz jism se phulon pe ungliyan rakh dun ye shakh aur zara sa agar lachak jae kabhi kabhaar tere jism ka akela-pan mere khayal ki uryaniyat ko dhak jae tere khayal ki tamsil yun samajh jaanan dil o dimagh mein bijli si ek chamak jae tere visal ki ummid yun bhi tuti hai ki aankh bhar bhi nahin pae aur chhalak jae kabhi kabhaar bharose ka qatl yun bhi ho ki jaise panw tale se zamin sarak jae