raaz mein rakh teri ruswai ka qissa main hun mujh ko pahchan tera dusra chehra main hun dafan hain tere kai raaz mere sine mein jo tere ghar se guzarta hai wo rasta main hun muddaton baad bhi jari hai azabon ka safar qatra qatra teri aankhon se tapakta main hun aa zara baith mere pas bhi kuchh pul ke liye mere hamdam teri diwar ka saya main hun ab bhi zinda hun teri ruh mein gham ki surat kaun kahta hai ki tuta hua rishta main hun mujh ko pujegi tah-e-khak jo duniya hai 'shakil' kal jo tuta tha falak se wo sitara main hun