qadmon ka rah-e-dil pe nishan koi nahin tha muddat se yahan gasht-kunan koi nahin tha tujh ko to mere dost hai tanhai mayassar main ne wahan kati hai jahan koi nahin tha waise to bahut bhid thi is khana-e-dil mein lekin mere matlab ka yahan koi nahin tha koi bhi nahin tha jise hum dil ki sunate koi bhi nahin tha meri jaan koi nahin tha tu chhod gaya tab bhi ziyan koi nahin hai tu sath bhi hota to ziyan koi nahin tha tu wahm tha mera ki koi dub raha hai tu sach mein sar-e-ab-e-rawan koi nahin tha