zindagi sach ki himayat nahin karne deti

zindagi sach ki himayat nahin karne deti
aisi koi bhi ibaadat nahin karne deti

maslahat aql se kahti hai ki ek had mein raho
aur dil ko bhi shararat nahin karne deti

uljhi rahti hai nazar se koi duzdida-nazar
qalb-o-jaan ki jo hifazat nahin karne deti

ab to haal-e-dil-e-bimar khuda hi jaane
haalat-e-zar ayaadat nahin karne deti

hum judai mein to bezar nahin the aise
kya mohabbat ye rifaqat nahin karne deti

kaam kuchh karne nahin dete riyasat ko bhi hum
aur kuchh hum ko riyasat nahin karne deti

teri jannat ko tarasti hui teri duniya
teri duniya pe qanaat nahin karne deti

tishnagi mohr-ba-lab tishna-labi hai ab to
chashm-e-saqi ki shikayat nahin karne deti

sham-e-jaan bhul gai kaise bhadak uthna tha
sham-e-gham subh-e-qayamat nahin karne deti

irtiqa ki to himayat mein ghazal hai 'pinhan'
bas riwayat se baghawat nahin karne deti


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close