qadmon se mere gard-e-safar kaun le gaya manzil pe raste ki khabar kaun le gaya ru-e-ufuq se nur-e-sahar kaun le gaya is auj tak kamand-e-nazar kaun le gaya rakh di gai thi qadmon pe us ke utar kar dastar jaanti hai ki sar kaun le gaya is sath par kise tha meri zat ka shuur itni tahon mein aa ke guhar kaun le gaya sukhe darakht nezon ki surat gade hue wo barg o gul wo shakh o samar kaun le gaya