sitam-taraaz talak zakhm-ashna bhi to ho ufuq ufuq shafaq-e-dard ki hina bhi to ho khala-ba-pa hun magar dasht dasht khak-ba-sar kuchh apna aap mitane ki intiha bhi to ho main khak ban ke faza mein bikhar bikhar jaun kisi ke panw tale zina-e-saba bhi to ho hawas ki barf badan se pighal to jae magar sharar sharar koi paikar kabhi chhua bhi to ho nazar nazar mein hazaron sawal hain lekin falak se koi meri samt dekhta bhi to ho nai ghadi nae sahra nae ufuq lai kisi tarah haq-e-ashuftagi ada bhi to ho barahnagi mera mazhab mera suluk bane magar badan pe kisi qadr ki rida bhi to ho meri wafaon ki gahraiyon ka khoj to le wo bahr-e-husn kabhi zarf-azma bhi to ho faqat bayan-e-haqiqat nahin hai manzil-e-haq jihat-shanas wo hai jo jihat-numa bhi to ho tere siwa bhi kisi ko kahun nadim magar tere siwa koi shaista-wafa bhi to ho