qadmon tale tu dekh ke mujh ko na tanz kar saya hun din dhala to main hunga tawil-tar ek chikh dab ke rah gai naron ke shor mein aage julus badh gaya ek lash raund kar darta hun sun ke subh ke qadmon ki aahaten main ek zard raat ka hun aakhiri pahar chaaron taraf hai aag taaqub mein aap ke behtar yahi hai jaiye dariya mein ab utar 'ikram' ek dard ka is dil mein hai niwas aabaad ek sant ke dam se hai ye khandar