thak kar jab bhi baith gaya hun main pipal ki chhanw mein gautam aaya gautam aaya shor macha hai ganw mein khoj mein us ki shahron shahron ghum raha hun sadiyon se jis ka nam likha hai mere hathon ki rekhaon mein mat le jao dhup ke us jangal mein bojhal aankhon ko chubh jaenge khar-e-haqiqat khwab ke komal panw mein apne man ki aashaon ke phul pirona kaam mera mani ki khushbu tum sungho shabdon ki malaon mein suraj ki kirnon ki barchhi ruh ko zakhmi karti hai aao yaro laut chalen hum tang-o-tar guphaon mein