qadr-e-wafa bhi hogi kisi din jafa ke baad laega rang-e-khun-e-shahidan hina ke baad hota hai inqalab jahan har ada ke baad bebak bhi banoge kabhi tum haya ke baad lae hain phul ahl-e-mohabbat ki qabr par kya yaad aa gaya unhen tark-e-jafa ke baad kabe mein mujh se shan-e-butan puchhte ho shaikh tauba mein un ka zikr karunga khuda ke baad un ki kamar ka koi pata hi nahin kahin ye dusra tilism-e-nazar hai huma ke baad baithi hai le ke ab mujhe aaghosh mein zamin aaram se hun kunj-e-lahad mein qaza ke baad ahl-e-wafa milega na mujh sa jahan mein pachhtaenge wo 'auj' khud aakhir jafa ke baad