qafas mein aaj koi gham-gusar bhi to nahin ajib waqt hai zikr-e-bahaar bhi to nahin nigah-e-naz ko ilzam kis tarah dije khud apne dil pe hamein ikhtiyar bhi to nahin ye mante hain ki ab wo ghutan nahin lekin khizan ke baad ka aalam bahaar bhi to nahin bhatak rahe hain andheron mein karwan ab bhi koi charagh sar-e-rahguzar bhi to nahin sabhi ko meri tabahi pe aa raha hai taras magar kisi ki nazar sharmsar bhi to nahin hamare gham pe jahan hans raha hai kyon 'mahir' hamari tarah koi be-qarar bhi to nahin