wo na aae to dekho har taraf udasi hai

wo na aae to dekho har taraf udasi hai
phul bhi hain nam-dida chandni khafa si hai

waqai meri wahshat kuchh to rang le aai
mujh pe hansne walon ke rukh pe bad-hawasi hai

jam de na de rukh se bas naqab sarka de
har nigah ai saqi mai-kade mein pyasi hai

maslahat-shiaro han dar hai meri manzil
jurm ahd-e-hazir mein sirf haq-shanasi hai

baghban bahaaron par kyon nazar nahin teri
shokh shokh phulon ka rang kyon kapasi hai

wo mere khayalon mein hans rahe hain ai 'mahir'
subh khubsurat hai sham dilruba si hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close