qafas mein ashk-e-hasrat par madar-e-zindagani hai yahi dane ka dana hai yahi pani ka pani hai mile the aaj barson mein magar allah ki qudarat wahi surat wahi rangat wahi josh-e-jawani hai hamein wo jaan bhi lenge hamein pahchan bhi lenge utar jaega sab nashsha abhi chadhti jawani hai kaleje se laga rakhkhun na kyun dard-e-judai ko yahi to ek dil-e-marhum ki baqi nishani hai ye sach hai ya ghalat hum ne suna hai marne walon se tere khanjar mein qatil chashma-e-haiwan ka pani hai batae jate hain ausaf wo apni adaon ke ye shan-e-dil-raubai hai ye tarz-e-jaan-satani hai yahan kya jaaniye kis tarah dekha hai tasawwur mein wahan ab tak wahi parde ke andar lan-tarani hai karen taskhir aao mil ke hum tum donon aalam ko idhar jadu-nigahi hai udhar jadu-bayani hai 'jalil' ek sher bhi khali na paya dard o hasrat se ghazal-khwani nahin ye dar-haqiqat nauha-khwani hai