ye hausla tujhe mahtab-e-jaan hua kaise ki khud ko sae se minha kiya bata kaise nazar to kya ki ye mina-e-dil bhi khali hai lagega shahr mein bazar-e-khun-baha kaise mujhe khabar hai ki mausam nahin ye khwahish ka mere labon pe ye thahra hai zaiqa kaise khudai nauha-kunan thi ki aaj mimbar pe ye tujh ko aaya nazar kya mere siwa kaise talluqat ke tawiz bhi gale mein nahin malal dekhne aaya hai rasta kaise qafas mein meri panahon ko dekh hairan tha ki mere dil mein tha maqtal ka zaicha kaise hawa se jaise charaghon ki lau bhadakti hai bahut dinon mein tujhe dekh ke hansa kaise