qafas mein hun gar achchha bhi na jaanen mere shewan ko mera hona bura kya hai nawa-sanjaan-e-gulshan ko nahin gar hamdami aasan na ho ye rashk kya kam hai na di hoti khudaya aarzu-e-dost dushman ko na nikla aankh se teri ek aansu us jarahat par kiya sine mein jis ne khun-chakan mizhgan-e-sozan ko khuda sharmae hathon ko ki rakhte hain kashakash mein kabhi mere gareban ko kabhi jaanan ke daman ko abhi hum qatl-gah ka dekhna aasan samajhte hain nahin dekha shanawar ju-e-khun mein tere tausan ko hua charcha jo mere panw ki zanjir banne ka kiya betab kan mein jumbish-e-jauhar ne aahan ko khushi kya khet par mere agar sau bar abr aawe samajhta hun ki dhunde hai abhi se barq khirman ko wafa-dari ba-shart-e-ustuwari asl iman hai mare but-khane mein to kabe mein gado barahman ko shahadat thi meri qismat mein jo di thi ye khu mujh ko jahan talwar ko dekha jhuka deta tha gardan ko na lutta din ko to kab raat ko yun be-khabar sota raha khatka na chori ka dua deta hun rahzan ko sukhan kya kah nahin sakte ki juya hun jawahir ke jigar kya hum nahin rakhte ki khoden ja ke madan ko mere shah-e-sulaiman-jah se nisbat nahin 'ghaalib' faridun o jam o ke khusraw o darab o bahman ko