jo main na hun to karo tark naz karne ko koi to chahiye ji bhi niyaz karne ko na dekho ghuncha-e-nargis ki or khulte mein jo dekho us ki mizha nim-baz karne ko na soe nind bhar is tangna mein ta na mue ki aah ja na thi pa ke daraaz karne ko jo be-dimaghi yahi hai to ban chuki apni dimagh chahiye har ek se saz karne ko wo garm naz ho to khalq par tarahhum kar pukare aap ajal ehtiraaz karne ko jo aansu aawen to pi ja ki ta rahe parda bala hai chashm-e-tar ifsha-e-raaz karne ko samand naz se tere bahut hai arsa tang tanik to tark kar is tark taz karne ko basan-e-zar hai mera jism-e-zar sara zard asar tamam hai dil ke gudaz karne ko hanuz ladke ho tum qadar meri kya jaano shuur chahiye hai imtiyaz karne ko agarche gul bhi numud us ke rang karta hai wa-lek chahiye hai munh bhi naz karne ko zyaada had se thi tabut-e-'mir' par kasrat hua na waqt musaid namaz karne ko