qafas nigal gaya kisi ko dar ne nigal liya magar hamein shab-e-firaq-e-yar ne nigal liya tumhaare waste huzur hadisa hai aur bas gharib ghar ke aasare ko car ne nigal liya hazar bar tujh se ye kaha tha mat hisab kar hamare pyar ko miyan shumar ne nigal liya hami prem chand ki kahaniyon ke log hain wo log jin ki umr ko udhaar ne nigal liya wo jin ko khud pe man tha kisi ka rizq ho gae shikariyon ko ek din shikar ne nigal liya hamare gham ghazal hue to gunguna diye gae udasiyon ke bain ko guitar ne nigal liya tumhaare baad hum 'hasan' khizan ke hath lag gae hamare sabz jism ko bahaar ne nigal liya