sirf itne mein hi ho jata guzara mera puchh leta wo agar haal dobara mera is se andaza laga lo ki wo khud kya hoga jis ki thokar se chamakta tha sitara mera khair aur shar mein tawazun hi nahin rakh sakta kaun samjhega meri jaan khasara mera kya zaruri hai ki hum ek zaban bolte hon ishq karta hai to samjhega ishaara mera main wo dariya jo samundar mein alag bahta hai pani hota hi nahin hai kabhi khaara mera jab wo ladti thi to punjabi zaban bolti thi khud-bakhud niche chala aata tha para mera tum ne chhoda hai to main chahe jahan bhi jaun jhagda banta hi nahin ab to tumhaara mera