qahr tha hijrat mein khud ko be-aman karna tera dasht-e-namahfuz aur us mein makan karna tera is kahani mein mera kirdar hi goya na tha yun haqiqat ko meri be-dastan karna tera chhin gaya aakash ka khema to sham-e-hijr mein kuchh dhuen ke baadalon ko aasman karna tera uf! ye majburi ki jab sare nasheman jal gae tutne wale shajar par aashiyan karna tera bhulna mushkil hai wo manzar ki mujh ko ek din sar pe rakh kar hath yun be-saeban karna tera mustaqil la-hasili ko apna hasil man kar zindagi ko lamha lamha raegan karna tera bad-gumani ki khalish paida hui thi jin dinon un dinon ko mere apne darmiyan karna tera