thi meri ham-safri ek dua us ke liye ye bichhadna hai badi sakht saza us ke liye ab koi silsila-e-tark-o-talab hi na raha aankh mein ek bhi manzar na ruka us ke liye us ke khwabon ko na de mausam-e-tabir mera koi paigham na le jae saba us ke liye harf ko lafz na kar lafz ko izhaar na de koi taswir mukammal na bana us ke liye main use bhul bhi jaun magar ai be-khabari meri chup us ke liye meri nawa us ke liye 'ramz' de jae to kya rang koi mera lahu 'ramz' pis jae to kiya barg-e-hina us ke liye