qaid-e-hasti mein hun apne farz ki tamil tak

qaid-e-hasti mein hun apne farz ki tamil tak
ek nai duniya nae insan ki tashkil tak

dam ham-rang-e-zamin phaila diya sayyaad ne
wadi-e-gang-o-jaman se rud-bar-e-nil tak

aankh se bah jaega dil mein agar baqi raha
qatra-e-khun dastan-e-dard ki takmil tak

shairi ka saz hai wo saz ho jis saz mein
naghma-e-ruh-ul-amin se bang-e-israfil tak

tu hi asrar-e-sukhan se hai abhi na-ashna
warna is ijmal mein maujud hai tafsil tak

bas nahin chalta hai un ka warna ye zulmat-parast
apni phunkon se bujha den arsh ki qindil tak

ashk' apne sina-e-pur-khun mein sail-e-ashk bhi
rok rakhta hun jigar ke khun ki tahlil tak


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close