ab chand nahin koi sitara nahin koi shab itni andheri hai ki nikla nahin koi har-chand nazar aati hai diwar-e-tamanna chahen ki thahar jaen to saya nahin koi chehron ko ye gham hai koi aaina nahin hai aaina tarasta hai ki chehra nahin koi jis se bhi milo dekh ke rah jata hai munh ko aisa bhi nahin hai ki shanasa nahin koi arman tumhein fasl-e-gulistan ka hai 'fakhir' shakhon pe yahan phul to khilta nahin koi