qaid-e-kaun-o-makan se nikla har nafas imtihan se nikla main bujha bhi to mere baad yahan ek dhuan kaisi shan se nikla manzil gum-shuda suragh tera panw ke ek nishan se nikla shukr hai us ki yaad ka paikar mere wahm-o-guman se nikla ek thokar pe nur ka dariya shab ki andhi chatan se nikla baukhlai hawa ki tair-e-nau kitni unchi udan se nikla aag pani hawa aur mitti ke 'asif' har imtihan se nikla