main fath-e-zat manzar tak na pahuncha mera tesha mere sar tak na pahuncha use memar likkha bastiyon ne ki jo pahle hi patthar tak na pahuncha tijarat dil ki dhadkan gin rahi hai talluq lutf-e-manzar tak na pahuncha shagufta gal tikhe khat ka mausam dobara nakhl-e-paikar tak na pahuncha bahut chhota safar tha zindagi ka main apne ghar ke andar tak na pahuncha ye kaisa pyas ka mausam hai 'ahmad' samundar dida-e-tar tak na pahuncha