qaid-e-ulfat ka maza zulf-e-girah-gir mein hai bas yahi rang mere khwab ki tabir mein hai mithi mithi si kasak us ke bhi dil mein hogi halki halki si khanak panw ki zanjir mein hai us ko tahqir ki nazron se na dekho yaro rang kirdar ka pinhan meri taswir mein hai ku-ba-ku ek tajassus liye phirta hai mujhe ab ye daryuza-gari hi meri taqdir mein hai khun ro deta agar tujh pe ayan ho jata tu ne samjha hi kya jo kuchh meri tahrir mein hai tum bhi 'ghazi' ki tarah dil ke ewaz jaan de do ishq-e-kaamil ka maza bas isi tadbir mein hai