kaleje karb sahte sahte chhalni ho chuke hain magar ab kya karen hum is ke aadi ho chuke hain hamare samne se ishq-o-ulfat ko utha le ye qisse hum tak aate aate raddi ho chuke hain sitam ai gardish-e-dauran kise dukhde sunaen dilasa dene wale hath mitti ho chuke hain to kya pyason ko pani bhi pilane se gae hum to kya ye man len hum log kufi ho chuke hain hamare shahr se mumkin ho to bach kar guzar ja hamare shahr ke sab log wahshi ho chuke hain are hairat se kya dekhe hain aankhon ko hamari ye mashkize to ek muddat se khali ho chuke hain jo mauzun hain unhen qimat munasib hi milegi magar saste bikenge wo jo daghi ho chuke hain hamara nam namon se alag likkhegi duniya ki hum teri mohabbat mein misali ho chuke hain