qaid jab hum pe lagi wusat-e-daman ke liye kitni kasrat se khile phul gulistan ke liye wo munajaten kahan hain tere ehsan ke liye kasrat-e-shauq nahin aalam-e-hirman ke liye jaise har husn se mumtaz hai wo husn tamam hum hain eazaz ke qabil nahin jaanan ke liye qarin-e-nigah-e-naz hi samjhe wo khat surkh doron mein jo tahrir hai arman ke liye rind lae mai-o-saghar ki hasin tashbihen istiara nigah-e-husn thi paikan ke liye khauf kya ho rah-e-tarik-e-bayaban ka hamein kam nahin kirmak-e-shab-tab charaghan ke liye ashk-e-gham roke rahen faqa-guzaron se kaho pani gulkhan se chala nuh ke tufan ke liye ki na jab ahl-e-siyasat ne sitam se tauba hum utare gae is qaum-e-bad-unwan ke liye dar jahan-e-gul-e-be-khar nachidast kase gham na kar 'mani'-e-nashtar-kash-e-dauran ke liye