palkon par nam kya phail gaya har samt dhuan sa phail gaya meri rekha-posh hatheli par ek sham ka saya phail gaya jo harf chhupaya logon se wo chehra-ba-chehra phail gaya tera nam liya to sahra mein ek saya utra phail gaya ab mere aur khuda ke bich ek hijr ka lamha phail gaya jab nae safar par nikla main raston par sadma phail gaya shamon ki surkhi simat gai raaton ka qissa phail gaya main pyas bujhane pahuncha to dariya mein sahra phail gaya is arz o sama ki wusat mein dukh tera mera phail gaya