qaid mein gar mujh ko apni bandhta rah jaega mere rahte wo mujhi ko dhundhta rah jaega yun to badlega nahin kuchh bhi tere jaane ke baad daman-e-khwahish magar han bhigta rah jaega meri khamoshi hi de degi use sare jawab wo sawal apne hi dil se puchhta rah jaega kirchiyan kuchh khwabon ki chubhti rahegi aankhon mein baad tere umr bhar ka rat-jaga rah jaega mubtala gar ishq mein ai dil hua to soch le zindagi bhar zindagi ko dhundhta rah jaega