jo nazar aata tha bahar se wo kab andar se tha us ke jine ka saliqa us ke pas-manzar se tha sham hote hi udasi gher leti thi use rabta us ka kahin kya dubte manzar se tha quwwat-e-parwaz pa kar bhi kahan jata parind us ke udne ka talluq kuchh to mere ghar se tha fard tha jis ghar ka us ne bhi na pahchana use marne wale shakhs ka nam-o-nasab to sar se tha guzre lamhon ki sadaen der tak aati rahin kuchh to rishta jaane walon ka ujadte ghar se tha