qail bhala hon nama-bari mein saba ke khak phirti hai wo bhi galiyon mein aksar uda ke khak kahta hun soz-e-dil se ki kar chuk jala ke khak ek baat par jo yar ne jaani utha ke khak kya kanpta hai nala-e-sozan se ai falak jab baat thi ki mujh ko kiya ho jala ke khak pani nikal ke dasht mein jari hai ja-ba-ja ya-rab gaya hai kaun ye sar par uda ke khak daman utha utha ke jo bachta hua chala kyun howen mar ke kuche mein is bewafa ke khak rizwan abir-e-khuld se badlun na zinhaar khushbu hai kuche mein wo mere mah-laqa ke khak 'arif' ko yaro hum to samajhte the ahl-e-din dariya mein log aae hain us ki baha ke khak