qamar-gazida nazar se haala kahan se aaya

qamar-gazida nazar se haala kahan se aaya
charagh bujhne ke baad ujala kahan se aaya

nadi mein wo aur chand hain ek sath raushan
zamin par aasman wala kahan se aaya

ye ghuncha ghuncha siyah bhanwre ki bosa-khwahi
sawad-e-gulshan mein ham-niwala kahan se aaya

faza ki aaludgi thi pahle hi nim qatil
ye dil mein ek aur dagh kala kahan se aaya

qarib-tar doston se hone ki aarzu mein
abhi abhi pusht par ye bhaala kahan se aaya

main khwab mein bhi teri gali se nahin guzarta
ye donon talwon mein surkh chhaala kahan se aaya

kahan gaya sikka sikka qarun ka khazana
'zubair' hathon mein ye piyala kahan se aaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close