qamat ko tere sarw sanobar nahin kaha jaisa bhi tu tha us se to badh kar nahin kaha us se mile to zom-e-takallum ke bawajud jo soch kar gae wahi aksar nahin kaha itni murawwaten to kahan dushmanon mein thin yaron ne jo kaha mere munh par nahin kaha mujh sa gunahgar sar-e-dar kah gaya waiz ne jo sukhan sar-e-mimbar nahin kaha barham bas is khata pe amiran-e-shahr hain in jauhadon ko main ne samundar nahin kaha ye log meri fard-e-amal dekhte hain kyun main ne 'faraaz' khud ko payambar nahin kaha