wo qaza ke ranj mein jaan den ki namaz jin ki qaza hui tere mast-e-baada-e-shauq ne na kabhi padhi na ada hui tere daur-daura-e-ishq mein meri ek rang se kat gai na sitam hua na karam hua na jafa hui na wafa hui mujhe ghair-e-ijz-o-niyaz ne tere dar pe ja ke jhuka diya na to koi ahd likha gaya na to koi rasm ada hui mera dil bhi tha meri jaan bhi thi na wahi raha na yahi rahi mujhe kya khabar ki wo kya hua mujhe kya khabar ki ye kya hui meri umr 'muztar'-e-khasta-dil kati ranj-o-dard-o-firaq mein na kisi se meri dawa hui na dawa se mujh ko shifa hui