qanun se hamari wafa do tarah ki hai insaf do tarah ka saza do tarah ki hai ek chhat pe tez dhup hai ek chhat pe barishen kya kahiye aasman mein ghata do tarah ki hai kis rukh se tum ko chahen bhala kis pe mar miten surat tumhaari jalwa-numa do tarah ki hai kanton ko aab deti hai phulon ke sath sath apne liye to baad-e-saba do tarah ki hai khush ek ko kare wo kare ek ko na-khush mahbub ek hi hai ada do tarah ki hai aisa karen ki aap kahin aur ja basen is shahr mein to aab-o-hawa do tarah ki hai