sara peD hara tha usMein ek hi patta pila tha

sara ped hara tha us mein ek hi patta pila tha
man-pipal ko dhup mein dekha dard bada chamkila tha

us ki masti us ki baaton ka main zimma-dar nahin
main kuchh aisa shokh nahin tha wo hi thoda nashila tha

pure chand se barsa jadu jism nahin do sae the
hadd-e-nazar tak naqsh-e-qadam the ya phir ret ka tila tha

rafta-rafta mit hi gaya khud us ki be-rahmi ka dagh
yaadon ke raushan chehre par ek nishan jo nila tha

aankhon ko malum nahin tha kitne jharne nir bahe
subh ko ye ehsas hua ki pura takiya gila tha

jis ke lams-e-tamanna par pura iman tha pura yaqin
kal jab us se marham manga us ka lahja katila tha

aaj bhi mere man ke andar koi baalak rahta hai
tum ne dekha us ke aage aaj bhi main sharmila tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close