qarar-e-jaan bhi tumhi iztirab-e-jaan bhi tumhi mera yaqin bhi tumhi ho mera guman bhi tumhi tumhaari jaan hai nikhat tumhaara jism bahaar meri ghazal bhi tumhi meri dastan bhi tumhi ye kya tilism hai dariya mein ban ke aks-e-qamar ruke hue bhi tumhi ho rawan-dawan bhi tumhi khuda ka shukr mera rasta muayyan hai ki karwan bhi tumhi mir-e-karwan bhi tumhi tumhi ho jis se mili mujh ko shan-e-istighna ki mera gham bhi tumhi gham ke raaz-dan bhi tumhi nihan ho zehn mein wijdan ka dhuan ban kar ufuq pe manzil-e-idrak ka nishan bhi tumhi tamam husn-e-amal hon tamam husn-e-bayan ki mera dil bhi tumhi ho meri zaban bhi tumhi