wo ek khema-e-shab jis ka nam duniya tha kabhi dhuan to kabhi chandni sa lagta tha hamari aag bhi tapi hamein bujha bhi diya jahan padaw kiya tha ajib sahra tha hawa mein meri ana bhigti rahi warna main aashiyane mein barsat kat sakta tha jo aasman bhi tuta gira meri chhat par mere makan se kisi bad-dua ka rishta tha tum aa gae ho khuda ka subut hai ye bhi qasam khuda ki abhi main ne tum ko socha tha zamin pe tut ke kaise gira ghurur us ka abhi abhi to use aasman pe dekha tha bhanwar lapet ke niche utar gaya shayad abhi wo sham se pahle nadi pe baitha tha main shakh-e-zard ke matam mein rah gaya 'qaisar' khizan ka zahr shajar ki jadon mein phaila tha